badan se ḳhaak khurachne se dar nikalte hain
isi liye to shajar nange sar nikalte hain
charagh dekh ke masti sabhi ko aati hai
diya jale to patangon ke par nikalte hain
gale laga ki zara hausla baḌhe mera
faqat yuun dekhne se thoḌi Dar nikalte hain
tumhare shahr men suraj baḌa chamakta hai
tumhare shahr ke din kis qadar nikalte hain
maraz janab ka daaru se kam nahin hona
ye bal to aadmi ko maar kar nikalte hain
hila ke Daal samundar ko meri ankhon par
abhi nikal ye kankar agar nikalte hain
Leave a Reply