lā-makāñ-o-makāñ boltā hai
jaise saarā jahān boltā hai
kyoñ haiñ ahl-e-zabān mohr-ba-lab
kyā koī be-zabān boltā hai
koī suntā nahīñ kisī kī har ik
apnī apnī zabān boltā hai
laakh gard-e-safar rahe ḳhāmosh
rahguzar kā nishān boltā hai
saarī mahfil dhuāñ dhuāñ sī huī
kaun sho.ala-bayān boltā hai
ḳhushk dhartī bhī chup nahīñ rahtī
jab kabhī āsmān boltā hai
vahm hai ik umīd-e-sub.h-e-tarab
mujh se merā gumān boltā hai
āsmāñ tak hai gosh-bar-āvāz
kaun ye darmiyān boltā hai
rañg-e-ruḳh be-zabāñ sahī ‘at.har’
dil kā hai tarjumān boltā hai