kyuun har taraf tu ḳhvar hua ehtisab kar
naraz kyuun hai tujh se ḳhuda ehtisab kar
hasil to ho ga.iin tujhe saari sahulaten
rizq-e-halal kitna mila ehtisab kar
har din kuredta hai tu apne hi zaḳhm ko
kya hai yahi maraz ki dava ehtisab kar
kab tak rahega raushni ke intizar men
jalta nahin hai ḳhud se diya ehtisab kar
gumnam ho gaya hai tu apni hi bazm men
kin ghalatiyon ki hai ye saza ehtisab kar
apne kiye-dhare ka ab ‘ahya’ hisab kar
duniya mili ki diin mila ehtisab kar
Leave a Reply