kyon hai lahja bujha bujha tera
kya hua ab vo valvala tera
vaqfe vaqfe se khol kar khiḌki
achchha lagta hai jhankna tera
teri ankhon men jhank kar dekhun
aks mera ho aa.ina tera
kya mana.ega apne dil ki ḳhair
jis se paḌ jaa.e vasta tera
tiir sa lag raha hai ghairon ko
mere sheron pe tabsira tera
TuuT jaa.e na Dor sanson ki
bandh rakkha hai aasra tera
jo bhi milta tha marne vaala tha
kis se karta main tazkira tera
jhank kar teri jhukti ankhon men
paḌh liya main ne faisla tera
kaun samjhega mere dil ka haal
kis ne dekha hai dekhna tera
jaane kab pighle un ka dil ‘raghib’
jaane kab hal ho mas.ala tera
Leave a Reply