• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Tamasha Dekhiye Tahsil-E-La-Hasil Mein Hai

Kya Tamasha Dekhiye Tahsil-E-La-Hasil Mein Hai

kya tamasha dekhiye tahsil-e-la-hasil men hai

ek duniya ka maza duniya-e-ab-o-gil men hai

dekh ye jazb-e-mohabbat ka karishma to nahin

kal jo tere dil men tha vo aaj mere dil men hai

main bhala kis se kahun kya kya kahun kaise kahun

maut se pahle hi mar jaane ki ḳhvahish dil men hai

mauj o shorish inqalab o iztirab o rust-o-ḳhez

hai maza sahil men kab jo duri-e-sahil men hai

jhank kar dil men zara ye to bata diije huzur

meri qismat ka sitara kaun si manzil men hai

mujh ko bhata hi nahin ik aankh husn-e-ka.enat

haan magar vo jo tire ruḳhsar ke ik til men hai

kar diya begana-e-gham-ha-e-duniya ishq ne

mujh ko asani yahi to apni is mushkil men hai

tera maazi haal se dast-o-gareban gir raha

main batata huun jo ‘sarvar’ tere mustaqbil men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

hasrat-mohani

Apna Sa Shauq Auron Mein Laen Kahan Se Hum

Hayat Raqs Mein Hai Kaenat Raqs Mein Hai

Yaro Kahan Tak Aur Mohabbat Nibhaun Main

Ajib Waqia Tha Usko Apne Ghar Lana

poet

KHulus-E-Sajda Har Ek Haal Mein Muqaddam Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet