aah aur ashk hi sada hai yaan
rose barsat ki hava hai yaan
jis jagah ho zamin tafta samajh
ki koi dil-jala gada hai yaan
go kudurat se vo na deve ro
aarsi ki tarah safa hai yaan
har ghadi dekhte jo ho idhar
aisa ki tum ne aa nikla hai yaan
rind muflis jigar men aah nahin
jaan mahzun hai aur kya hai yaan
kaise kaise makan hain suthre
ik azaan jumla karbala hai yaan
ik sisakta hai ek marta hai
har taraf zulm ho raha hai yaan
sad tamanna shahid hain yakja
sina-kubi hai taaziya hai yaan
didani hai gharaz ye sohbat shokh
roz-o-shab tarfa majra hai yaan
khana-e-ashiqan hai ja-e-khub
jaae rone ki ja-ba-ja hai yaan
koh-o-sahra bhi kar na jaae baash
aaj tak koi bhi raha hai yaan
hai khabar shart ‘mir’ sunta hai
tujh se aage ye kuchh hua hai yaan
maut majnun ko bhi yahin aai
kohkan kal hi mar gaya hai yaan
Leave a Reply