• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Baad Marne Ke Koi Bosa-E-Rukhsat dega

Baad Marne Ke Koi Bosa-E-Rukhsat dega

aabid-umar

baad marne ke koi bosa-e-ruKhsat dega

kya Khuda mujh ko bhi aisi bhali qismat dega

zindagi hai ye miyan ranj-o-alam to honge

jo guzarega wo lazim hai ki qimat dega

farzi duniya se nikal aur haqiqat likh de

sher parwaz karega tujhe izzat dega

dekh mayus na ho kufr nahin kar pyare

be-dili chhod Khuda tujh ko bhi rahat dega

kar gai umr akarat meri hae hae

ek ghalat-fahmi ki tu mujh ko mohabbat dega

kul mila ke hai asasa mera ye umr-e-rawan

rad nahin hogi dua rab mera barakat dega

main to samjha tha mohabbat ka bulawa hai ‘umar’

kya Khabar thi wo mujhe maut ki dawat dega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Young Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gulshan Mein Kabhi Hum Sunte the Wo Kya Tha Zamana Phulon Ka

abdussalam-asim

Akhbar Kya Ki Apni Bhi Khair-O-Khabar Se dur

qateel-shifai

Aaj Ki Baaten Kal Ke Sapne

ghuTi ghuTi Hi Sahi Meri Chah Le Lena

Hausle the Kabhi Bulandi Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet