kya pata kis jurm ki kis ko saza deta huun main
rang sa ik bandhta huun phir bhula deta huun main
apne aage ab to main khud bhi thahar sakta nahin
samna hote hi chutki men uda deta huun main
moajiza agla to ab shayad purana ho chala
dekhna ab ke koi chakkar naya deta huun main
mujh se aage bhi nikal jaana bahut mushkil nahin
aj-kal ahista-rau huun rasta deta huun main
shor sa uthta hai aur uthte hi dab jaata hai ab
harf sa likhne se pahle hi mita deta huun main
taaki meri sulh-jui ko lage kuchh bhaav bhi
har nae fitne ko dar-parda hava deta huun main
baat bhi sunta nahin huun vasl men dil ki ‘zafar’
aise khar-maston ko mahfil se utha deta huun main
Leave a Reply