kya nazara tha meri ankhon men
jab vo saara tha meri ankhon men
ek tufan tha kahin barpa
aur dhara tha meri ankhon men
haal kaisa ye tu ne kar Daala
kitna pyara tha meri ankhon men
kuchh bhi dekha nahin tha main ne jab
har nazara tha meri ankhon men
chand jab tak nazar na aaya tha
taara taara tha meri ankhon men
jab kiya ishq ka safar aghaz
kab kinara tha meri ankhon men
kitni ankhon se ‘shaz’ bachte hue
koi haara tha meri ankhon men
Leave a Reply