kya mila qais ko gard-e-rah-e-sahra ho kar
rah gaya hota ghubar-e-dar-e-laila ho kar
yaad aate hain chaman men jo kisi ke aariz
gul khatakte hain miri ankhon men kanta ho kar
pahle kya tha jo kiya karte the tarif miri
ab hua kya jo bura ho gaya achchha ho kar
dil men rakh gard-e-kudurat na bahut ai kam-bin
kahin rah jaae na ye aaina andha ho kar
hijr men yad-e-mizha aur bhi tadpati hai
qalb-e-bismil men khatakti hai ye kanta ho kar
nala-e-garm ne tasir ajab dikhlai
rah gaya misl-e-charagh aap men thanda ho kar
yaar ke rukh ki sabahat ka tasavvur shab-e-hijr
aaya taskin ko miri nuur ka tadka ho kar
dil se kahta hai gham-e-ulfat-e-janan dam-e-marg
tum to duniya se chale main rahun kis ka ho kar
chhodna ai gham-e-ulfat na kabhi saath us ka
kahin ghabrae mira dil na akela ho kar
aae to vasl ka din ho to kahin bos-o-kanar
sab nikal jaegi sharm un ki pasina ho kar
jism-e-anvar ki latafat ki sana kya kiije
jama-e-yar na utra kabhi maila ho kar
dahr ki dekhte hain past-o-buland ai ‘zeba’
karbala jaenge is vaste batha ho kar
Leave a Reply