dil ke har zaḳhm ko palkon pe sajaya to gaya
aap ke naam pe ik jashn manaya to gaya
mai-e-kohna na sahi ḳhun-e-tamanna hi sahi
ek paimana mire samne laaya to gaya
ḳhair apna nahin baghi hi samajh kar ham ko
teri mahfil men kisi taur bulaya to gaya
ab ye baat aur ki zindan men bhi zanjiren hain
ham ko gulshan ki balaon se bachaya to gaya
daar pe chaḌh ke bhi ḳhush hain ki hamen is dil men
is bahane hi sahi apna banaya to gaya
ab ye qismat hi na jaage to kare kya koi
roz-o-shab ik naya tufan uThaya to gaya
kya hai manzil se agar ho gae ham duur ‘aḳhtar’
rahbaron ke hamen halqe se nikala to gaya
Leave a Reply