kya lutf zindagi ka jo nadaniyan na hon
siine men dil ho aur pareshaniyan na hon
tark-e-ta.alluqat to karte ho dekhna
tum ko ḳhuda-na-karda pashemaniyan na hon
ye saari iztirab-e-musalsal ki baat hai
dil ko sukun ho to ghazal-ḳhvaniyan na hon
zaḳhm-e-jigar ko apne chhupata raha huun main
is ḳhauf se ki un ko pashemaniyan na hon
vo din guzar ga.e ki mohabbat gunah thi
ab to mushahidat ko hairaniyan na hon
us dil pe soz-o-saz-e-mohabbat haram hai
jis men nashat-e-gham ki faravaniyan na hon
ai ‘shauq’ barq-o-bad ka is men qusur kya
qismat buri na ho to pareshaniyan na hon
Leave a Reply