kya koi samjhe mire halat jab kahta huun main
ik musalsal raushni ke saa.e men rahta huun main
jab hava chalti hai uḌta huun muḳhalif samt men
aur jab tham jaa.e tab apni taraf bahta huun main
tere mere lahje ka ye farq kitna saaf hai
tu mujhe kahti hai tu aur main tujhe kahta huun main
aap se main ḳhush huun to ye aap par ehsan hai
ik aziyyat hai ḳhushi bhi hans ke jo sahta huun main
shaam ke Dhalne se pahle main kabhi piita nahin
ye bhi sach hai dopahar se tishna-lab rahta huun main
kuza-gar ye sochta hai ye usi ka kaam hai
is saliqe se kabhi banta kabhi Dhahta huun main
Leave a Reply