kya karun is mas.ale ke samne
dasht hai kachche ghaḌe ke samne
tah-ba-tah manzar khulega aankh par
aa.ina hai aa.ine ke samne
is larazte ashk ki himmat to dekh
DaT gaya hai qahqahe ke samne
jaan le ki tere lab kuchh bhi nahin
agahi ke za.iqe ke samne
kar rahi hai be-sabati par ḳhitab
ek suui bulbule ke samne
janta huun mask ke pichhe ka dukh
ro raha huun masḳhare ke samne
Leave a Reply