kya kahun kya mila hai kya na mila
dil bhi shayan-e-dilruba na mila
talḳhi-e-zindagi are tauba
zahr men zahr ka maza na mila
ham ko apni ḳhabar na daman ki
chashm-e-rahmat ko ik bahana mila
laakh milne ka ek milna hai
ki hamen izn-e-iltija na mila
fitna-e-rind-o-mohtasib tauba
barmala koi parsa na mila
thi baḌi bhiiḌ us ke kuche men
ḳhizr aa.e the rasta na mila
kis se miliye ‘ravish’ ki dilli men
sab mile vo ḳhud-ashna na mila
Leave a Reply