kya ghazab tu ne ai bahar kiya
patti patti ko be-qarar kiya
ab to sach bolne ki rasm nahin
kis ne phir ehtimam-e-dar kiya
atish-e-dard men kami na hui
laakh ankhon ko ashk-bar kiya
raushni ki talash men ham ne
barha zulmaton se pyaar kiya
mauj-dar-mauj the dukhon ke bhanvar
ham ne tanha sabhi ko paar kiya
jab banaya tha chand itna hasin
us ka anjam kyuun ghubar kiya
Leave a Reply