kya baat nirali hai mujh men kis fan men aḳhir yakta huun
kyuun mere liye tum kuḌhte ho main aisa kaun anokha huun
vo lamha yaad karo jab tum is qalb-sara men aa.e the
us roz se apna haal hai ye kabhi hansta huun kabhi rota huun
kuchh bhuli-bisri yadon ka albela shahr basaya hai
koi vaqt mile to aa niklo yahin milta huun yahin rahta huun
kuchh aur baḌhe is raste men anfas-e-rifaqat ki ḳhushbu
tum saath sahi hamrah sahi main phir bhi tanha tanha huun
main ḳhak-basar main arsh-nashin main sab kuchh huun main kuchh bhi nahin
main tere guman se patthar huun main tere yaqin se hiira huun
Leave a Reply