• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh to Mushkil Mein Kaam Aate Hain

Kuchh to Mushkil Mein Kaam Aate Hain

kuchh to mushkil men kaam aate hain

kuchh faqat mushkilen baḌhate hain

apne ehsan jo jatate hain

apna hi martaba ghaTate hain

sabr se intizar karna siikh

achchhe din aate aate aate hain

faslon se gurez kya karna

fasle qurbaten baḌhate hain

kuchh to bar-e-nazar bhi hote hain

saare manzar kahan lubhate hain

vo jo rahte hain be-havas aksar

hadson ko vahi bulate hain

koi ustad kya sikha.ega

jo sabaq sanehe sikhate hain

jab vo milne se kuchh gurez kare

vahime dil men kasmasate hain

saari yaden to ḳhush-gavar nahin

talḳh lamhe bhi yaad aate hain

dil men hota hai vajd ka aalam

taan vo dal se jab lagate hain

yaad ik hiir ki satati hai

bansuri jab kabhi bajate hain

naghme gaate the jo masarrat ke

aaj kal marsiye sunate hain

baat ki baat hi ise kahiye

qahqahe dard-o-gham miTate hain

kam hi ab rah ga.e hain jo ‘rashid’

dard ki mahfilen sajate hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

pirzada-qasim

Aawaz Mein Aawaz Milate Hi Rahe Hum

Un Se Kya Puchhte Ho Log to Kam Jaante Hain

Aankh Ko jakDe the Kal KHwab Azabon Ke

insha-allah-khan-insha

das Aql das Maqule das Mudrikat Tison

aftab-hussain

Kami Rakhta Hun Apne Kaam Ki Takmil Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet