kuchh naqsh huvaida hain ḳhayalon ki dagar se
shayad kabhi guzra huun main is rah-guzar se
galiyan bhi hain sunsan dariche bhi hain ḳhamosh
qadmon ki ye avaz dar aai hai kidhar se
taqon men charaghon ka dhuan jam sa gaya hai
ab ham bhi nikalte nahin ujḌe hue ghar se
kyuun kaghzi phulon se sajata nahin ghar ko
is daur ko shikva hai mire zauq-e-hunar se
saae ki tarah koi ta.aqub men ravan hai
ab bach ke kahan jaenge ik sho.abda-gar se
‘aḳhtar’ ye ghane abr baḌe tang-nazar hain
uTThe hain jo dariya se to dariya pe hi barse
Leave a Reply