kuchh kahun kahna jo mera kijiye
chahne vaale ko chaha kijiye
hausla tegh-e-jafa ka rah na jaae
aaiye khun-e-tamanna kijiye
fitna-e-roz-e-qayamat hai vo chaal
aaj vo aate hain dekha kijiye
kis ko dekha un ki surat dekh kar
ji men aata hai ki sajda kijiye
fitne sab barpa kiye hain husn ne
meri ulfat ko na rusva kijiye
hur-e-jannat un se kuchh badh kar sahi
ek dil kya kya tamanna kijiye
kar diya hairat ne mujh ko aaina
be-takalluf munh dikhaya kijiye
josh men aa jaae rahmat ki tarah
ek ik qatre ko dariya kijiye
naam agar darkar hai misl-e-nagin
ek ghar men jam ke baitha kijiye
mil chuke ab milne vaale khaak ke
qabr par ja ja ke roya kijiye
kaun tha kal bais-e-be-pardagi
aap mujh se aaj parda kijiye
kal ki baton men to kuchh narmi si hai
aaj phir qasid ravana kijiye
raah takte takte ‘asi’ chal basa
kyuun kisi se aap vaada kijiye
Leave a Reply