kuchh dil ka ta.alluq to nibhao ki chala main
ya TuuT ke avaz lagao ki chala main
darpesh masafat hai kisi ḳhvab-nagar ki
ik diip mire paas jalao ki chala main
is shahr ke logon pe bharosa nahin karna
zanjir koi dar pe lagao ki chala main
ta-dil men tumhare bhi na ehsas-e-vafa ho
ji bhar ke mujhe aaj satao ki chala main
mushtaq nigahon se ye sehr TuuT raha hai
chehre pe koi rang sajao ki chala main
is shahr-e-marasim men to sangsar hua huun
patthar hi sar-e-rah sajao ki chala main
is tishna-labi par mujhe ezaaz to baḳhsho
ai bada-kasho jaam uThao ki chala main
is darja taghaful ki nahin taab jigar ko
tum aur bahane na banao ki chala main
ik ḳhvab hai vo ḳhvab to puura karo ‘sahil’
ik sher mira mujh ko sunao ki chala main
Leave a Reply