kuchh bad-gumaniyan hain kuchh bad-zabaniyan hain
muddat se un ki ham par ye mehrbaniyan hain
aata hai jab kisi par rukta nahin hai hargiz
manind-e-mauj-e-dariya dil ki ravaniyan hain
paida kahan hain hote ab ‘zauq’ aur ‘ghalib’
haan ‘dagh’ aur ‘hali’ un ki nishaniyan hain
jo paas tha vo khoya nam-e-salaf duboya
kya khaak apni ai dil ab zindaganiyan hain
ai dil na chhed qissa ho dard jis se paida
ye sher-khvaniyan hai ya nauha-khvaniyan hain
kya ham ne ye nikali tarz-e-ghazal nirali
kuchh guf-fishaniyan hain kuchh khun-fishaniyan hain
bad-e-khizan ne gulshan viran kiya hai saara
bulbul ki ab kahan vo rangin-bayaniyan hain
jaur-o-jafa ke aise ham ho gae hain khugar
na-meharbaniyan bhi ab mehrbaniyan hain
ai ‘mashriqi’ jahan men dekha yahi tamasha
kuchh matam-o-alam hai kuchh shadmaniyan hain
Leave a Reply