kuchh baat rah gai thi batane ke bavajud
huun halat-e-safar men ghar aane ke bavajud
dil se utar chuka tha jo aa kar gale mila
duuri vahi thi dil se lagane ke bavajud
hathon men ab bhi us ki hai ḳhushbu basi hui
jo rah gai thi haath chhuḌane ke bavajud
purze vo ḳhat ke aaj bhi rakkhe hain mere paas
jo bach gae the ḳhat ko jalane ke bavajud
naam us ka mere dil pe chhapa is tarah se hai
yuun naqsh hai abhi bhi miTane ke bavajud
mujh ko bhi ye kamal-e-hunar hai mila hua
main ji rahi huun us ko bhulane ke bavajud
koi bhi ham-shanas nahin ham-nava nahin
rishton men ik ḳhala hai nibhane ke bavajud
teri sadaen aaiin jo maazi ki samt se
ham ruk gae hain paanv baḌhane ke bavajud
jo zid men baḌh gae the zaminon ko raund kar
ḳhush kyon nahin hain asman paane ke bavajud
ye kaisa intizar ki hota nahin hai ḳhatm
tu aa gaya magar tire aane ke bavajud