kuchh aur pila nashat ki mai
ye lazzat-e-jism hai ajab shai
ab bhi vahi giit hai vahi lai
ham vo nahin anjuman vahi hai
taḳhayyul men har talab hai tahsil
jo baat kahin nahin yahan hai
karte tira intizar abad tak
lekin tira e’tibar ta-kai
mujh ko to na raas aa.i duuri
tujh men bhi vo baat ab nahin hai
divangiyan kabhi miTi hain
har-chand raha zamana darpai
samjha.en ‘ziya’ magar unhen kya
dil hi se na baat ho saki tai
Leave a Reply