dil ka ahval zamane pe ayaan ho sakta
lafz ai kaash tamanna ki zaban ho sakta
ye samajhte hi nahin dard ka baa.is kya hai
mera dil kaash dil-e-chara-garan ho sakta
dekh sakta kisi ḳhanjar ki lapak ka manzar
koi gham-ḳhvar qarib-e-rag-e-jan ho sakta
chand ki mash.al-e-be-kar bujha di jaati
raat par raat ka shiddat se guman ho sakta
kam na hoti jo tapish dard ke angaron ki
ruuh men hausla-e-zabt-e-fughan ho sakta
sher banne se ḳhayalat bikhar jaate hain
kaash ‘jamshed’ ye dukh yunhi bayan ho sakta
Leave a Reply