main kisi shakhs se bezar nahin ho sakta
ek zarra bhi to be-kar nahin ho sakta
is qadar pyaar hai insan ki khataon se mujhe
ki farishta mira meaar nahin ho sakta
ai khuda phir ye jahannam ka tamasha kiya hai
tera shahkar to finnar nahin ho sakta
ai haqiqat ko faqat khvab samajhne vaale
tu kabhi sahab-e-asrar nahin ho sakta
tu ki ik mauja-e-nikhat se bhi chaunk uthta hai
hashr aata hai to bedar nahin ho sakta
sar-e-divar ye kyuun nirkh ki takrar hui
ghar ka angan kabhi bazar nahin ho sakta
raakh si majlis-e-aqvam ki chutki men hai kya
kuchh bhi ho ye mira pindar nahin ho sakta
is haqiqat ko samajhne men lutaya kya kuchh
mera dushman mira gham-khvar nahin ho sakta
main ne bheja tujhe aivan-e-hukumat men magar
ab to barson tira didar nahin ho sakta
tirgi chahe sitaron ki sifarish laae
raat se mujh ko sarokar nahin ho sakta
vo jo sheron men hai ik shai pas-e-alfaz ‘nadim’
us ka alfaz men izhar nahin ho sakta