koson duur kinara hoga
kashti hogi dariya hoga
paas tumhen ho tum hi batao
koi mujh sa tanha hoga
aao aur qarib aa jaao
vaqt bhi rasta takta hoga
tum se hasin to aur bhi honge
lekin koi tum sa hoga
ab to kuchh bhi yaad nahin hai
ham ne tum ko chaha hoga
ham ne gareban chaak kiya tha
ham ko hi ḳhud siina hoga
jab ham tera naam na lenge
vo bhi ek zamana hoga
vo bhi ek haqiqat hogi
jis ka naam fasana hoga
kal ki fikr kahan tak kiije
aur bura ab kitna hoga
haan vo ‘imam’ ik rusva sha.er
tum ne us ko dekha hoga
Leave a Reply