koi to raah sujha duur tak andhera hai
kahan hai mere ḳhuda duur tak andhera hai
mira ḳhayal tha kuchh aage raushni ho gi
main janta nahin tha duur tak andhera hai
kisi ki khoj men nikla huun mehr-o-mah liye
hai iltimas-e-dua duur tak andhera hai
na hoga tai ye safar sirf raushan ankhon se
charagh-e-dil bhi jala duur tak andhera hai
nazar ke samne the an-ginat sitare magar
faqir kahta raha duur tak andhera hai
hamare haath ki rekha.en kya batati hain
hamen bata.iye kya duur tak andhera hai
‘aqil’ pahle to bina.i ki basharat di
phir us ne mujh se kaha duur tak andhera hai
Leave a Reply