koi sarmaya kab raha mahfuz
ik faqiri ka rasta mahfuz
gosha-e-dil hai alam-e-hairat
baḌa ma.amur hai baḌa mahfuz
dasht phir kyon nahin rahe abad
abr azad hai hava mahfuz
kashmakash men hai ta.ir-e-firdaus
zamin abad aur ḳhala mahfuz
jo hava ki panah men aa.e
vahi rah ja.ega diya mahfuz
Leave a Reply