
Mohsin Naqvi
fankar hai to haath pe suraj saja ke la
bujhta hua diya na muqabil hava ke la
dariya ka intiqam Dubo de na ghar tira
sahil se roz roz na kankar uTha ke la
ab iḳhtitam ko hai saḳhi harf-e-iltimas
kuchh hai to ab vo samne dast-e-dua ke la
paiman vafa ke bandh magar soch soch kar
is ibtida men yuun na suḳhan intiha ke la
ara.ish jarahat-e-yaran kei bazm hai
jo zaḳhm dil men hain sabhi tan par saja ke la
thoḌi si aur mauj men aa ai hava-e-gul
thoḌi si us ke jism ki ḳhushbu chura ke la
gar sochna hain ahal-e-mashiyyat ke hausle
maidan se ghar men ek tu mayyat uTha ke la
‘mohsin’ ab us ka naam hai sab ki zaban par
kis ne kaha ki us ko ghazal men saja ke la

Leave a Reply