koi samjhao dariya ki ravani kaTti hai
ki mere saans ko tishna-dahani kaTti hai
main bahar to bahut achchha huun par andar hi andar
mujhe koi bala-e-na-gahani kaTti hai
main dariya huun magar kitna sataya ja raha huun
ki basti roz aa ke mera paani kaTti hai
zamin par huun magar kaT kaT ke girta ja raha huun
musalsal ik nigah-e-asmani kaTti hai
main kuchh din se achanak phir akela paḌ gaya huun
na.e mausam men ik vahshat purani kaTti hai
ki raaja mar chuka hai aur shahzade javan hain
ye raani kis tarah apni javani kaTti hai
nazar vaalo tumhari aankh se shikva hai mujh ko
zaban vaalo tumhari be-zabani kaTti hai
Leave a Reply