• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shahar Ki Fasilon Par zaKHm Jagmagaenge

Shahar Ki Fasilon Par zaKHm Jagmagaenge

shahar ki fasilon par zaḳhm jagmaga.enge

ye charagh-e-manzil hain rasta bata.enge

peḌ ham mohabbat ke dasht men laga.enge

be-makan parindon ko dhuup se bacha.enge

zahr jab bhi ugloge dosti ke parde men

pattharon ke lahje men ham bhi gunguna.enge

jangalon ki jharnon ki kaghzi ye tasviren

ghar ke band kamron men kab talak saja.enge

ḳhuun ban ke rag rag men duudh maan ka bahta hai

qarz ye bhi vajib hai kaise ham chuka.enge

thak ke lauT ja.engi andhiyan siyasat ki

jin ki lau rahe qaa.em vo diye jala.enge

ye jhuki jhuki palken mat uTha.iye sahab

jhiil jaisi ankhon men log Duub ja.enge

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Soch Ki Mauj-E-Rawan Le Ke Kidhar Aai Hai

ThiThak Gaya Mah-E-Nau Jhil Mein Utarte Hue

Tewar Bhed Batate Hain Ye Nam-Alud Hawaon Ke

bashir-badr

Jab Raat Ki Tanhai dil Ban Ke dhadakti Hai

Koi Aae Koi Jae Tamasha Ab Nahin Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet