had-e-imkan se aage apni hairani nahin jaati
nahin jaati nazar ki pa-ba-jaulani nahin jaati
lab-e-ḳhamosh sahil se sukun ka dars milta hai
magar amvaj-e-dariya ki pareshani nahin jaati
jahan pahle kabhi sab gosh-bar-avaz rahte the
vahan bhi ab miri avaz pahchani nahin jaati
haqiqat kuchh to apni aabru ka paas ho tujh ko
hazaron pairahan hain phir bhi uryani nahin jaati
nahin ta.azim ke laa.eq nahin takrim ke qabil
vo dar jis ki taraf ḳhud khinch ke peshani nahin jaati
sukun hota to hai phir bhi sukun hasil nahin hota
ki jaane ki tarah apni pareshani nahin jaati
Leave a Reply