koi puchhe to na kahna ki abhi zinda huun
vaqt ki kokh men ik lamha-e-a.inda huun
zindagi kitni hasin kitni baḌi ne.amat hai
aah main huun ki use pa ke bhi sharminda huun
kya ada hone ko hai sunnat-e-ibrahimi
aag hi aag hai har samt magar zinda huun
zindagi tu jo sunegi to hansi aa.egi
main samajhta huun ki main tera numa.inda huun
tez raftar havaon ke labon se puchho
harf-e-aḳhir huun main ik naghma-e-pa.inda huun
ajnabi jaan ke har shaḳhs guzar jaata hai
aur sadiyon se isi shahr ka bashinda huun
jaane kin tez ujalon men nahaya tha kabhi
is qadar saḳht andheron men bhi tabinda huun
Leave a Reply