Koi Panchhi uDan Mein Bhi Nahin

koī panchhī uḌaan meñ bhī nahīñ

tiir us kī kamān meñ bhī nahīñ

zabt karne kī ḳhū nahīñ us meñ

hausla us ke maan meñ bhī nahīñ

dhuup itnī hai ġham ke sahrā meñ

saaya is sā.ebān meñ bhī nahīñ

naqsh bar-āb ho gayā har aks

koī paikar chaTān meñ bhī nahīñ

ek din ajnabī mileñge ham

hādisa ye gumān meñ bhī nahīñ

jitnā tārīk dil hai tere baġhair

ye añdherā jahān meñ bhī nahīñ

Leave a Comment