koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi paḌta hai
idhar se bojh kandhe ka udhar karna hi paḌta hai
kahan jaate hain kya karte hain kis ke saath rahte hain
hamen apna ta.aqub umr bhar karna hi paḌta hai
vo apne tan pe sah kar ho ki apni jaan par phir bhi
hamen ik ma.arka har roz sar karna hi paḌta hai
khula rakkhen na rakkhen ghar ka darvaza magar ‘farruḳh’
safar ankhon ko ta-hadd-e-nazar karna hi paḌta hai
Leave a Reply