koi ḳhushbu na phuul huun main to
sar se pa tak babul huun main to
teri dargah se gila kaisa
ḳhud ko bhi kab qubul huun main to
chandni mujh ko sajde karti hai
tere qadmon ki dhuul huun main to
jaane mujh se bichhaḌ gaya hai kaun
har janam men malul huun main to
tifl-e-dil ki dua likhe jis ko
us ghazal ka schōl huun main to
kyuun dikhate ho mujh ko talvaren
lajvanti ka phuul huun main to
zaḳhm khata huun shukr karta huun
haan ḳhilafat usuul huun main to
‘ashk’ is karobari duniya men
aadmi ik fuzul huun main to
Leave a Reply