koi din ka ab-o-dana aur hai
phir chaman aur ashiyana aur hai
haan dil-e-be-tab chande intizar
amn-o-rahat ka thikana aur hai
shama phiki raat kam mahfil udaas
ab mughanni ka tarana aur hai
ai javani tu kahani ho gai
ham nahin vo ya zamana aur hai
jis ko jan-e-zindagani kah saken
vo hayat-e-javedana aur hai
jis ko sun kar zohra-e-sang aab ho
aah vo ghamgin fasana aur hai
va agar sama-e-raza ho to kahun
ek pand-e-mushfiqana aur hai
ittifaqi hai yahan ka irtibat
sab hain begane yagana aur hai
Leave a Reply