charagh-e-dard ki sham-e-tarab pukarti hai
ik aag si lab-e-dariya-e-shab pukarti hai
adu se jaan bachchi hai na dost bichhḌe hain
ye sham-e-girya hamen be-sabab pukarti hai
charagh-e-shauq pe rah rah ke nuur aata hai
hava ba-tarz-e-ruḳh-o-chashm-o-lab pukarti hai
shahid-e-ab-o-namak hain so baḌhte jaate hain
shikast o fat.h piyadon ko kab pukarti hai
sada.en de ke bulati hai shah-banu-e-shahr
faqir jis ke hain dekhen vo kab pukarti hai
main jaise din ki tab-o-tab se pareshan huun
ba-vaqt-e-sham ḳhushi ik ajab pukarti hai
ham aise kaun anokhe tulua hote hain
jo ham ko dekh ke duniya ghazab pukarti hai
Leave a Reply