koi batlae majra kya hai
roz-o-shab ka ye silsila kya hai
saare aalam men ghuum kar dekha
mere mahbub ke siva kya hai
ibtida ki khabar nahin mujh ko
kya bataun ki intiha kya hai
aag phaile to duur tak jaae
lau hai kya chiiz aur diya kya hai
band kar de kafan-faroshi ko
murda jismon pe ab raha kya hai
aql maazur hai mohabbat men
ye na jaane bhala-bura kya hai
apne kaase ko bhar liya main ne
main nahin janti ata kya hai
ramz dariya hi janta hoga
sohni kaun hai ghada kya hai
Leave a Reply