na tira ai nigar behtar hai
rukh pe lahu ka nikhar behtar hai
kya haqiqi o kya majazi hoe
ishq ka karobar behtar hai
khirman-e-aql ke jalane kuun
ishq ka yak sharar behtar hai
dushman-e-bad-guhar se ladne kuun
lutf-e-haq ka hisar behtar hai
sarnisak yaar ki judai kuun
maut ka intizar behtar hai
Leave a Reply