is ghani shab ka savera nahin aane vaala
ab kahin se bhi ujala nahin aane vaala
jibra.il ab nahin a.enge zamin par hargiz
phir se ayat ka tohfa nahin aane vaala
ho ga.e dafn shab-o-roz purane kab ke
lauT kar phir vo zamana nahin aane vaala
peḌ to saare hi be-barg hue jaate hain
dhuup to aa.egi saaya nahin aane vaala
ye bhi sach hai ki ajal ban ke khaḌe hain amraz
ye bhi tai hai ki masiha nahin aane vaala
ham ko sahna hai akele hi har ik dard ka bojh
ḳhair-ḳhvahon ka dilasa nahin aane vaala
mere afkar ke sote nahin thamne vaale
meri sochon pe buḌhapa nahin aane vaala
na.e lafzon ko baratne ka saliqa bhi to ho
sirf alfaz se lahja nahin aane vaala
jhuuT be-panv bhi dauḌega bahut tez ‘ḳhumar’
lab pe sachcha.i ka charcha nahin aane vaala
Leave a Reply