koi bachne ka nahin sab ka pata janti hai
kis taraf aag lagana hai hava janti hai
ujle kapḌon men raho ya ki naqaben Daalo
tum ko har rang men ye ḳhalq-e-ḳhuda janti hai
rok pa.egi na zanjir na divar koi
apni manzil ka pata ah-e-rasa janti hai
TuuT ja.unga bikhar ja.unga harunga nahin
meri himmat ko zamane ki hava janti hai
aap sach bol rahe hain to pasheman kyuun hain
ye vo duniya hai jo achchhon ko bura janti hai
andhiyan zor dikha.en bhi to kya hota hai
gul khilane ka hunar bad-e-saba janti hai
aankh vaale nahin pahchante us ko ‘manzar’
jitne nazdik se phulon ki ada janti hai
Leave a Reply