
Ruchi Darolia
koi aa.e koi jaa.e tamasha ab nahin hoga
mohabbat aḳhiri thi ye tamasha ab nahin hoga
nikalna chahta hai vo haqiqat men kahani se
gira do ḳhvab ke parde tamasha ab nahin hoga
suna hai is kahani men na.e kirdar aane hain
suna hai naam se mere tamasha ab nahin hoga
tumhari nazr karti huun tamam ash.ar ye mere
ki safhon par syahi se tamasha ab nahin hoga
sabab jo bhi ho rusva.i ka zimma ishq ke sar hai
ḳhudaya ḳhair ho mujh se tamasha ab nahin hoga
tumhen haq hai karo shikva ḳhizan ki rut hai jan-e-man
qaba.en ham na kholenge tamasha ab nahin hoga
rahega ishq mahv-e-zist be-shak aḳhiri dam tak
magar haan naam par us ke tamasha ab nahin hoga

Leave a Reply