kiya bagh-e-jahan men naam un ka sarv kah kah kar
ka.i aahen jo nikli thiin mire siine se rah rah kar
sahab-o-barq hain ya shisha-o-saghar hain kya ham tum
ki ham jis vaqt roven tum hanso us vaqt qah qah kar
hamara girya dekhe chashm-e-kam se kyuun na dariya ko
samundar se ka.i jaate hain yaan ik pal men bah bah kar
hue jis gul ke ham chah-e-zaqan men gharq kar denge
mire yak qatra-e-shabnam men bulbul Duub chah chah kar
dhamak vo aah ke na.are ki apne hai ki gardun se
sitare TuuTe paḌte hain kuen jaate hain dah dah kar
bara-e-imtihan ushshaq par teghe chalata hai
jo zaḳhmi ho ke girte hain to rah jaata hai dah dah kar
dila kuche se us ke aaj agar tu ḳhair se aaya
yahi din kal bhi hai dar-pesh sheḳhi se na pah pah kar
namaz-e-shaiḳh ho itmam kyunkar sarqa dushman hai
ki TuuTe hai vuzu har baar jab khate hain ah ah kar
imarat to Dahe phir ban sake hai par tire hathon
hue hain ḳhaak kya kya qasr-e-dil ai shoḳh Dhah Dhah kar
na ho ruḳh se tire ai aah faujon ka muqabil ruḳh
kiya tu ne savaron ko piyada maat shah shah kar
lab-e-bam aa ke abru ki jhamak din sulh ke dikhla
ki aalim dekhne ko shahar ka dauḌe hai mah mah kar
zamin men gaḌ ga.e dekh us qad-e-ra.ana ko ḳhajlat se
lab-e-ju par akaḌte the khaḌe kya sarv lah lah kar
vafa.en roz-e-avval se miri tujh ko na ḳhush aa.iin
jafa men main teri aḳhir hua bhar umr sah sah kar
idhar to jama-chin khole hai us gul-ru ke daman ko
udhar bulbul rakhe hai raḳht-e-gul ḳhajlat se tah tah kar
laḌata hai agar aghyar se tu roz-o-shab ankhen
‘muhib’ apne par ai zalim nigah-e-lutf gah gah kar
Leave a Reply