kitni hi barishen hon shikayat zara nahin
sailaniyon ko ḳhatra-e-sail-e-bala nahin
main ne bhi ek harf bahut zor se kaha
vo shor tha magar ki kisi ne suna nahin
lakhon hi baar bujh ke jala dard ka diya
so ek baar aur bujha phir jala nahin
vaise to yaar main bhi taghayyur-pasand huun
chhoTa sa ek ḳhvab mujhe bhulta nahin
sote hain sab murad ka suraj liye hue
raton ko ab ye shahr dua mangta nahin
us din hava-e-sub.h ye kahti hui ga.i
yusuf-miyan ke sanvle beTe men kya nahin
Leave a Reply