kisi nazar ne mujhe jaam par lagaya hua hai
so karta rahta huun jis kaam par lagaya hua hai
ghalat pade na kahin pahla hi qadam ye hamara
ki ham ne aankh ko anjam par lagaya hua hai
tamam shahr musharif-ba-kufr ho ke rahega
ye jis qimash ke islam par lagaya hua hai
laga rakhe hain hazaron hi apne kaam par us ne
hamen bhi koshish-e-nakam par lagaya hua hai
pilata rahta huun din-rat apni aankh se paani
shajar ye dil men tire naam par lagaya hua hai
vo aur honge jo aram se guzar rahe hain
hamen to us ne kahin laam par lagaya hua hai
Leave a Reply