kisi ki chahat men qaid rahna bura nahin hai to aur kya hai
baghair khiḌki ke ghar men rahna saza nahin hai to aur kya hai
purane patton ko jhaaḌ dena na.e-navelon ko raah dena
ḳhuda ke bande agar ye kar-e-ḳhuda nahin hai to aur kya hai
ḳhud apne kandhon pe laash uTha.e main dafn hone ko ja raha huun
ye zinda lashon ka aḳhiri marhala nahin hai to aur kya hai
main jab bhi chahun bula luun badal gira duun barish uga duun gandum
ḳhuda ke lahje men baat karna ana nahin hai to aur kya hai
fasadiyon ko tarah tarah se jo aaj ham tum bacha rahe hain
munafiqat ki ye aḳhiri intiha nahin hai to aur kya hai
purane zaḳhmon ko yaad rakhna kuredna aur namak lagana
phir us ki yadon men Duub jaana nasha nahin hai to aur kya hai
hamari manzil vahi hai ‘ahya’ jahan se be-daḳhl ham hue the
to ji ke marna ya mar ke jiina saza nahin hai to aur kya hai
Leave a Reply