kisi jhuti vafa se dil ko bahlana nahin aata
mujhe ghar kaghazi phulon se mahkana nahin aata
main jo kuchh huun vahi kuchh huun jo zahir hai vo batin hai
mujhe jhute dar-o-divar chamkana nahin aata
main dariya huun magar bahta huun main kohsar ki janib
mujhe duniya ki pasti men utar jaana nahin aata
zar-o-mal-o-javahir le bhi aur thukra bhi sakta huun
koi dil pesh karta ho to thukrana nahin aata
parinda janib-e-dana hamesha ud ke aata hai
parinde ki taraf ud kar kabhi daana nahin aata
agar sahra men hain to aap khud aae hain sahra men
kisi ke ghar to chal kar koi virana nahin aata
hua hai jo sada us ko nasibon ka likha samjha
‘adim’ apne kiye par mujh ko pachhtana nahin aata
Leave a Reply