kisi guman-o-yaqin ki had men vo shoḳh-e-parda-nashin nahin hai
jahan na samho usi jagah hai jahan samajh lo vahin nahin hai
tumhara va.ada hai kaisa va.ada ki jis ka dil ko yaqin nahin hai
nagin-e-be-naqsh to hazaron ye naqsh hai aur nagin nahin hai
tasavvuron ke fareb uTha kar mushahida vahm ban raha hai
nazar ne khaa.e hain itne dhoke ki dekh kar bhi yaqin nahin hai
talavvun ik jazr-o-mad hai ḳhud hi thapeḌon men aa phansi hai kashti
ḳhabar hai muddat ke Duube dil ki ki aaj tak tah-nashin nahin hai
ye kahti hai gardish-e-zamana qadam thamenge na ab kisi ja
hai ye bhi ik asman ka TukḌa tiri gali ki zamin nahin hai
vafa ki haami hamiyyat un ki harif-e-ummid ghairat un ki
nigahen iqrar kar rahi hain zaban pe lekin nahin nahin hai
hua jo ik dil ka daagh raushan to ho ga.e kul charagh raushan
ḳhayal raushan dimagh raushan bas ab andhera kahin nahin hai
sarishk-e-ḳhunin ka kul fasana lapeT rakha hai ik varaq men
nichoḌne par lahu na Tapke to astin astin nahin hai
hamari nakami-e-vafa ne zamane ki khol di hain ankhen
charagh kab ka bujha paḌa hai magar andhera kahin nahin hai
mujhi pe kya hai nahin hai kis men ye but-tarashi ye but-parasti
agar na husn-e-nazar se dekho to koi bhi phir hasin nahin hai
rah-e-ita.at men ‘arzu’ ne qadam qadam pe kiye hain sajde
jo aap ka naqsh-e-pa nahin hai vo us ka naqsh-e-jabin nahin hai
Leave a Reply